A-Gya

Home Main category Lalaji Gudia Doctor Jugnu Bandar Billi Chitrakaar Rel Gadi Prarthana Bhajan Pede Wala Chidiya A-Gya Bihari Lok Geet Jaipuri Folk Kismat Lohe ke Ped

    This is the most interesting thing I heard from my Mother. This poem (if you translate in Hindi) Every Sentence Goes in Order Of the Hindi alphabet. The whole Varnmaala Goes in these sentences and it really seems like it states some of the most general habits and advices that parents would give to kids. It's all written in the old Hindi so if you have any problems with with reading it then just mail me and I will try to clear things up. You have to read it and see how humorous and interesting it is. So Enjoy

A to Gya of the Hindi Varnmaala

Agya Maano Maat Pita Ki, Jinne Tum Ko Pala Hai

Aadar Kar Unko Sukh Dena, Isme Bhala Tumhara Hai

Irsha Bair Phoot Papon se, Kariye Sada Kinara Hai

Ishwar Ke tum Bano Upasak, Raksha Karne Wala Hai

Uchit Kahe Aur Uchit Hi Bole, Wah Hi Maanas Pyaara Hai

Uonch Neech Jo Samjhat Naahin, Uska Jeevan Khara Hai

Eka Sabko Karna Chahiye, Eka Sabka Daata Hai

Ev Sakal Jitne Duniya me, Jua Khel Sikhata Hai

Os Mein Sona Theek Nahin Hai, Rog Os Se Hota Hai

Ausar Sada Haath Nahi Aave, Murakh Hai Jo Khota Hai

Ant Kaal Ki Surat Na Bhoolo, Dharm Saath Ik Jaata Hai

Eh Akshar Tumko Cheta Kar Swar Ka Ant Batata Hai

Kabau Na Hinsa Karni Chahiye, Hinsa Sab Papon Ka Baap

Khal Ka Sang Kabahu Nahi Kije, Jaase Bhale Akele Aap

Garmi Mein Jab Chalkar Aao Turat Pani Pijiye Na

Ghamand Aur Rishau Se Bachiye Ye Na Hain Kuch Kam Dukh Dai

Chatur Kahen Tahi Bidhi Chaliye, Ulta Chalna Nahi Theek

Chal Kapat Kabhi Nahi Kije, Buddhi Jan Ki Mano Yeh Seekh

Jatan Sada Karte Hi Rehna, Chahe Fail Ho Chahe Paas

Jhagde Se Tum Sach Kar Mano, Nahin Bhalai Ki Kuch Aas

Tarey Kathinta Se Wah Aadat, Jo Balak Pan Mein Pad Jai

Thag Choron Ka Sang Na Kije, Yeh Sang Dega Jail Dikhay

Darthe Raho Sada Bhagvan Se, Soch Samajh Kar Kije Kaam

Dhakne Se Nahin Chupat Paap Hain, Ghat Ghat Vaasi Uska Naam

Tan Man Dhan Tu Kharch Kar, Widhya Lije Seekh

Thakau Na Kabhi Ilm Se, Chahe Maang Khao Bheek

Daya Kabhi Nahin Chodiye, Daya Dharm Ka Mool

Dhan Dai Dharm Ko Rakhiye, Jaame Kariye Na Bhool

Nahin Chaliye Aisa Chalan, Kul Mein Daag Lag Jaaye

Par Dhan Ko Tu Dekh Kar, Murakh Mat Lalchaye

Fason Na Khote Sang Mein, Yadhapi Laabh Kachu Hoye

Vachan Sada Meethe Kaho, Jo Jag Chahe Toy~

Bhali Baat Yadi Neech Par, Us Se Bhi Lai Le

Man Se, Tan Se, Jeebh Se, Dukh Na kau E Dey

Yadhapi Sako Nahin Daan Kar, Mat Chuko Sammaan

Rahiye Sada Seedhe Chalan, Ainth Marod Mein Haan

Ladak Pan Mein Mehnat Kar Ke Jo Vidhya Ko Payega

Wahi Bada Hone Par Khub Labh Uthaye Ga

Sharam Karega Jo Padhne Mein, Wah Murakh Rah Jaega

Sabha Mein Jaa Kar Jab Baithe Ga, Hans mein Kag Kahlayega

Hansi Kabhi Nahin Kigiye, Hansi Virodh Ka Mool

Shand Mein Saari Shrakhla Kar Dewe Hai Dhool

Tran Sam Apko Samajhiye, Mat Kariye Abhimaan

Gyaan Samudra Ke Beech Mein Sada Karo Snaan.