Lohe ke Ped

Home Main category Lalaji Gudia Doctor Jugnu Bandar Billi Chitrakaar Rel Gadi Prarthana Bhajan Pede Wala Chidiya A-Gya Bihari Lok Geet Jaipuri Folk Kismat Lohe ke Ped

    This is a great poem...which I heard in London. Unfortunately, I don't know the writer..and so if anyone has a clue...please mail it to me...coz it really is a great poem.

 

Lohe Ke ped Hare Honge

 

Lohe ke ped hare honge, tu gaan prem ka gaata chal

nam hogi yeh mitti zaroor, aanso ke kan barsaataa chal.

 

Siskiyon aur chitkaaron se, jitna bhi ho akaash bhara,

Kankaalon ka ho dher, khapparon se chahe ho pati dhara.

aasha ke swar ka bhaar, pavan ko leking lena hi hoga,

jeevit sapno ke liye marg murdon ko dena hi hoga.

rango ke saaton ghat udhel, yeh andhiyaari rang jaayegi,

Usha ko satya banane ko jaavak nabh par chitraata chal.

 

Aadarshon se Aadarsha bhide, pragya pragya par toot rahi,

Pratima Pratima se ladti hai, dharti ki kismat foot rahi.

Aavarton ka hai visham jaal, nirupaay buddhi chakraati hai,

vigyaan - yaan ar chadhi hui sabhyata doobne jaati hai.

Jab-Jab mastishq jayi hota, sansaar gyaan se chalta hai,

sheetalta ki hai shah hriday, tu yeh samvaad sunaata chal.

 

Sooraj hai jag ka bujha bujha, chandramaa amlin sa lagta hai,

Sab ki koshish bekaar hui, aalok na inka jagta hai.

In malin grahon ke praron mein koi naveed aabha bhar de,

Jaadogar! apne darpan par ghiskar in ko taaza kar de.

Deepak ke Jalte Praan, diwali tabhi suhaawan hoti hai,

Roshni jagat ko dene ko, apni asthiyaan jalaata chal.

 

Kya unhe dekh vismit hona, jo hain almast bahaaron mein,

phoolon ko jo hain goonth rahe, sone- chaandi ke taaron mein.

Maanavta ka tu vipra, gandh-chaaya ka aadi pujaari hai,

Vedna-putra! to to keval jalne bhar ka adhikaari hai.

Le badi kushi se utha, sarovar mein jo hansta chaand mile,

Darpan mein rachkar phool, magar uska bhi mol chukata chal.

 

Kaayaa ki kitni dhoom-dhaam! do roz chamak bujh jaati hai,

chaaya peeti piyuush, mrityu ke upar dhwaja udhati hai.

Lene de jag ko use, taal par jo kalhans machalta hai,

tera maraal jal ke darpan mein neeche-neeche chalta hai.

Kankaabh dhool jhar aayegi, ye rang kabhi ud jaayenge,

Saurabh hai keval saar, use tu sab ke liye jugaata chal.

 

Kya apni un se hod, amar-ta ki jinko pehchaan nahin,

chaaya se parichay nahi, gandh ke jag ka jin ko gyaan nahi?

Jo chatur chaand ka ras nichod pyaalon mein dhaalaa karte hain,

Bhattiyaan chadaakar phoolon se jo itra nikaala karte hain.

Ye bhi jaayenge kabhi, magar, aadhi manushyata-waalon par,

Jaise muskaata aaya hai, vaise ab bhi muskaata chal.

 

Sabhyata-ang par shat karaal, yeh arth-maanvon ka bal hai,

hum ro-kar bharte use, humaari aankh mein ganga-jal hai.

Sooli par chadha maseeha ko ve foole nahi samaate hain,

Hum shav ko jeevit karne ko chaayapur mein le jaate hain.

Bheegi chandniyon mein jeeta, jo kathin dhoop mein marta hai,

Ujiyaali se peedit nar ke man mein gaudhooli basaaata chal.

 

Yeh dekh nai leela un ki, phir us ne bada kamaal kiya,

Gandhi ke lahu se saare, bhaarat-sansaar ko laal kiya.

Jee Uthe raam, Jee Uthe Krishna, bharat ki mitti roti hai,

Kya hua ki pyaare Gandhi ki yeh laash na jinda hoti hai?

Talwaar maarti jinhe, baansuri unhe naya jeevan deti,

Jeevani-shakti ke abhimaani! yeh bhi kamaal dikhlaata chal.

 

Dharti ke bhaag hare honge, bhaarti Amrit barsaayegi,

din ki karaal dahakta par, chaandni susheetal chaayegi.

Jwaalamukhiyon ke kantho mein kal-kanthi ka aasan hoga

Jildon se lada gagan hoga, phoolon se bhara bhuvan hoga.

Bejaan yantra vichrit, Goongi Moortiyaan ek din bolengi,

Moonh khol khol sab ke bheetar shilpi! tu jeebh bithaata chal.

 

Lohe ke ped hare honge...