Prarthana

Home Main category Lalaji Gudia Doctor Jugnu Bandar Billi Chitrakaar Rel Gadi Prarthana Bhajan Pede Wala Chidiya A-Gya Bihari Lok Geet Jaipuri Folk Kismat Lohe ke Ped

    This Prarthana was taught to me by my mom who was taught this by her mom (my naniji). It's a really sweet prayer and I thought I will share it with you.

Nahin Sataaon Kisi Jeev Ko

 

Nahin Sataaon Kisi Jeev Ko

Jhooth Kabhi Nahi Kaha Karoon

Pardhan Vanita Par Na Lubhaoon

Santoshamrat Piya Karoon

Ahankaar Ka Bhaav Na Rakhoon

Nahin Kisi Par Krodh Karoon

Dekh Doosron Ki Badhti Ko

Kabhi Na Iswa desh Karron

Rahe Bhavana Aisi Meri

Saral Satya Vyavhaar Rahe

Deen Dookhi Jeevon Par Mere

Ur Se Karuna Shrot Bahe

Durjan Krur Kumarg Rathon Par

Shobh Nahin Mujhko Aae

Samya Bhaav Rakhoon Mein Sab Par

Aisi Drushti Ho Jaaye

Guni Jano Ko Dekh Hriday Mein

Mere Prem Umad Aaven

Goun Grahan Ka Bhaav Rahe

Nit Drushti Na Doshon Par Jaave

Koi Bura Kahe Ya Accha

Laxmi Aave Ya Jaave

Sou Sou Barason tak jeeyon ya

Mratyu Aaj Hi Aa Jae

Athava Koi Kaisa Bhi

Bhai ya Lalaj Dene Aaye

Phir Bhi Nyaay Marg Se

Mera Kadam Nahin Digne Pavey

Ho Kar Sukh Mein Magan Na Bhoolon

Dukh Main Kabhi Na Ghabraoon

Parvat Nadi Shamshaan Bhayanak

Shatru Se Bhi Nahin Bhakaoon

Rang Manch Samjhoon Is Jag Ko

Sundar Abhinay Kiya Karoon

Kamal Sarovar Jal Jaise

Nirlitt Jagat Se Sada Rahoon