|
Meri Kismat Vidhata ne mujh ko banaaya tha jis din Dharti pe bhuchaal aaya tha us din Mujhe dekh suraj ko gash aa gaya tha Mere roop se chand chakara gaya tha Tareef apni karoon ya khuda ki Taqdir ke lekh likhne the baaki
Likha usne yeh koi leader banega Waqalat karega, pleader banega Banega kisi jeen ghodon ka maalik Hazaron ka laakhon, karodon ka maalik Ye duniya mein hal-chal machaata rahega Sadaa muft ka maal khata rahega Sabhi vaar hain iske hak mein hi aksar Mangal, Brihaspat, Shukar, Shanichar
Padha lekh maine vidhata ka likha Shanichar ki "ni" ko galat usne likha Mein bola likha aapne "ni" galat hai Shanichar mein likhna badi "e" galat hai Wo bola ki tu kyon tarak kar raha hai Badi choti "e" mein farak kar raha hai
Abhi to tu paida hua bhi nahin hai Tujhe kya pata, kya galat, kya sahi hai Abhi se agar itni himmat hai teri Tu likhne mein galti pakadta hai meri Karega na jaane tu kya janm paa kar Meri pol kholega, duniya mein jaa kar
Wo sab mere doshon ko gun maante hain Wo sab meri taakat ko pehchante hain Main samarth hoon, jo karun wo sahi hai Mujhe rok de, aisa koi nahin hai. Tu pehla hi hai aur hai akhiri bhi Jisne vidhata ki galti sahi ki Jo tu chahta hai wahi kar raha hoon Badi "e" ki galti, sahi kar raha hoon
Ise theek likhta hoon phir tere sar par Shanichar, Shanichar, Shanichar, Shanichar Diya usne yoon shaap gusse mein aa kar Nahi chain payega duniya mein jaa kar janam le kar yoon hi vicharta rahega Sada galtiyaan theek karta rahega Fatehaal hoga, fatichar rahega Umra bhar tu hindi ka teacher rahega
By the way, the real name of the poem is Hindi ka teacher....but I changed it so that it won't give the end away. |